Basant ritu in hindi by Deepak kumar deep
Man me jab hariyali aayi,
phoolon ne jab gandh udai.
bhagi thandhi der saber,
ab basant ritu hai aayi.
Koyal gati ku hu ku,
bhauren karte hain gunjar.
rang birangi rango wali,
titliyo ki mauj bahar.
Bag me hai chidhiyon ka shor,
nach raha jangal me mor.
nache gayen jitna par,
dil mange once more.
Nadiyon ne nay geet sunaye,
badal ne hai dhol bajaya.
sanan sanan pawan chali,
amber bhi thoda muskaya.
Hothon pe muskan sajakar,
masti me ras prem ka gholen.
''deep'' basant sikhata hamko,
kisi se na kadhwa bolen.
''poet''
Deepak kumar ''deep''
This Poem has been published Copy right issue in Nirankari magazine ' Hasti Duniyan'' on Mar 2011
poem by Deepak Kumar deep

Submitted by Poetry Lover
Vote! | Copy!
Related quotes
Sun ke boli koyal ki
kukuhu, kuhuku karti koyal,
Geet madhur ye gati......
Apni sureeli aawaj se,
Sabke man bha jati.................
Sun ke boli koyal ki,
Ghar bante meethe pakwan..
Sabko ye lagti pyari,
sab karte uska samman.........
Nahi lagte paise koi,
Meethe bol bolne ko...............
Koyal hame yahi sikhati,
Bolne se pahle tolne ko..........
Sabse pyari pakshayi koyal,
Jahan kahi bhi jaati hai........
Man ghoomne lagta hai,
''deep'' prem jab barsati hai...
''Poet''
Deepak kumar ''deep''
This poem has been Published Copy right issue in Nirankari Magazine ' Hasti Duniyan' on 2009
poem by Deepak Kumar deep

Submitted by Poetry Lover
Vote! | Copy!
Jago huwa savera
Jago bachho huwa savera
aalas me na samay gawaon
uath jaldi subah savere
saare sukh sahaj hi paoo....
Subah jo jaldi uathta hai
swastha wo hardam rahta hai
aalas jo bhi karta
wo khud ko dukh se bharta hai...
Subah uath vyyayaam karo
adhoore sare kaam karo
parishram se jab thak jaao
thodhi der aaram karo..................
gyan ka deepak jala kar
door karo agayan andhera
'deep'' sabse yahi hai kahta
jago jago huwa savera.....................
''Poet''Deepak kumar ''deep''
[This poem has been Published on Copy right Nirankari Magazines 'Hasti Duniyan' on December 2008]
poem by Deepak Kumar deep

Submitted by Poetry Lover
Vote! | Copy!
Gazal-Muskurate rahiye
Zindagi mili hai muskurate rahiye,
kaam dukh dard me, aate rahiye..
Aakhon me na aason aayen kisi ke,
hasen aur sabko hasante rahiye....
shool na bichaye rahon me kisi ke,
phool hi rahon me bichhte rahiye....
vair nafrat ko ab aao door karen,
pyar hi dil me basate rahiye.............
andhera khud hi mit jayega,
''deep'' jag me jalate rahiye...............
''Writer''
Deepak kumar''deep''
This Gazal has been Published Copy right issue Nirankari Mazagine 'Ek Nazar' on Feb 2007
poem by Deepak Kumar deep

Submitted by Poetry Lover
Vote! | Copy!
New Year Poem in Hindi by Deepak Kumar Deep
Aman chain ki pawan chale aur
Dharti par khushihali aaye
Khila rahe yun har ek gulshan
Kali koi na murjha paye.
Shans len saken sabhi chain ki
Gamon ke badal na mandrayen
abhishap bane na karm hamara
Chhod paap ko punya kamayen.
milkar rahenge hum sab sare
pal! chahe jaisa bhi aaye
Ghreena vair aur Nafrat taj ke
Hriday me bhi prem basayen.
Sath na jana kuch bhi yaron
Mahal ho jitna aalishan
sada raha na koi yahan par
rank ho chahe ya sultan.
Maut to hai ek kadwi goli
jo sabhi ko khani padti hai
lagta suna sara jahan fir
kyon vyarth me jhagda karti hai.
apne ban jate hain begane
Jinhe bhi apna kahte hain
bhul ke gum wo maut ka tere
giddha, bhangdha karte hain.
naye saal me nayi umang ho
na tangdily badhaali aaye
Bhare rahen bhandare sabke
Sabhi diwali eid manayen.
Na ho koi aatanki hamla
apne hon ya hon begane
chaman na uzade kisi ke ghar ka
gayen khushi ke sabhi tarane.
Tajke dooree dilon se apne
manavta ka farz nibhayen.
'deep'bhulakar bhed bhav ko
Sabhi ko apne gale lagayen.
HAPPY NEW YEAR-2012
poem by Deepak Kumar deep

Submitted by Poetry Lover
Vote! | Copy!
Poem on Indian Classicl Music
Dhun jab dil se nikar kar
Hothon par aa jate hain
Wo bol bol rahte nahi
Fir Sangeet ban jaate hain
Kala, nritya Sahitya prem
Sangeet ke ye ang hain
Pop gazal bhav Sangeet
Gane kea lag dhang hain
Lay taal aur bandish
Susangeet ki pahchan hai
Saralta samrasta se
Badti iski shaan hai
Shashtriya sangeet lupt ho raha
Aao iski chat jagayen
“Deep” Raphi Kishore banker
Bhartiya Sangeet ki garima badhayen.
poem by Deepak Kumar deep

Submitted by Poetry Lover
Vote! | Copy!
Chitke pyare taare in hindi by deepak kumar deep
Neele neele amber par,
chitke pyare taare hain..
Suraj ki kirno se,
chamakte ye saare hain..
kabhi ladhte n ghagarte ye,
milkar sare rahte hain....
door door tak dhara pe,
ujiyara ye karte hain.......
shwet dhawal prakesh se apne,
bhoole pathik ko raah dikhate..
karo nishwarth sewa sabki,
''deep'' paath yahi padhte.......
''Poet''
deep ak kumar ''deep''
Video Editor
Renukoot, sonbhadra
23-11-08
poem by Deepak Kumar deep

Submitted by Poetry Lover
Vote! | Copy!
Holi Poem Sara Ra ra Holi hai
Sara ra ra Holi hai
Baat yahi batayenge hum
Daud daud kar bhag bhag kar
Sabko rang lagayenge hum.
Koi bachga na humse
Nar ho chahe naari
Rango ka godam pas me
Aur rango se bhari pichkari.
Meethe meethe pakwan khilakar
Apna harsh prakat kar payen
Vair virodh ko rakhen door
Sabko apne gale lagayen.
Dhol majeera ki madhur taal par
Khub ghoome nachen gayen
Deep bhula ke bhed bhaw ko
Pyar se ye tyohar manayen.
poem by Deepak Kumar deep

Submitted by Poetry Lover
Vote! | Copy!
New Year Poem- Saal Naya Ho Deepak Kumar Deep
Is duniyan ki reet purani
baad subah ke hoti shaam
rang birangi is duniyan ka
hona ek din kam tamam.
Suraj chanda sabhi hain badle
badle dharti aur aasman
Jisam hain badle rab na badla
issi ko kahte hain bhagwan.
Prabhu amar aur avinashi
Iska kabhi bhi nash na hota
Issi se raushan duniyan sari
Bin iske prakash na hota.
karwat li hai waqut ne jab jab
Satyug, treta dwapar aaya
har yug me ye rup badlta
jaisa jab bhi samay hai aaya.
ho laddu kitna bhi tedda
par hum aam usse na kahte hain
jab raam ek hai is duniya ka
fir bhram me hum kyon rahte hain.
Apne bhi badal hain jaate
jab saya dukh ka aata hai
nirasha, dukh, takleef me
bas ye hi sath nibhata hai.
failao daman issi ke aage
sab issi ke mang ke khate hain
par murakh aur agyani log
kha ke iska isko aankh dikhte hain.
satguru pura rab dikhlata
har yug me ye aata hai
aaj bhi aaya ban hardev
aur gyan uzzala failata hai.
Aao satguru ke charnon me
ye hi rab dikhlayega
bhed tughe jo raam khuda me
uska bharam mitayega.
saal naya ho sabkikhatir
uzzawal aur mangalkari
bhukh garibi na ho kahi pe
deep, sukhi ho duniya sari.
HAPPY NEW YEAR-2012
poem by Deepak Kumar deep

Submitted by Poetry Lover
Vote! | Copy!
Humanity poem in Hindi by Deepak kumar deep
Aasman me sitaron ko
kisi se ladte dekha hai?
kya suraj chanda taaron ko
raushni sene se adhte dekha hai.
Kya kabhi shikayat ki hai hawa ne
ki mai muft me kyon bahun
nadee ke sheetal jal se poocho
kya kabhi inkar kiya usne
apna jal dene se..
Pashu pakshai bhi apne anusar
sewa jagat ki kare hain
pedh paudhe sabhi ke liye hai
dhoof, chon, hawa
verna, jaati, dekh nahi dete..
Kintu,
ye insan hi aisa kyon
apni khudgarj lalsaon ki khatir
dusron ka sukh chain cheen raha
''Manavta'' sabad ki to isne
hinsha hi kar dali hai.
Aakhir kyon hai aisa insan.
Ham bhi apne aham ko tyagen
aur manavta apnayen
jitna ho ham sabse,
par sewa se punya kamayen
laden na ham baat baat par
prem se har baat sulghayen
jab ek prabhu ke balak hain ham
fir kaisa hai ghagda
chod ninda nafrat ko
har manav ko gale lagayen
chote baden ki baaten ab
rahne hi den kitabon me
saccha pyar karke sabse
is jeevan ko safal banayen.
Aakhir kyon ke is sawal ko
ye jahan kyon duhraye
aisi karni bane hamari,
'deep' jag me ujiyara ho jaye...
poem by Deepak Kumar deep

Submitted by Poetry Lover
Vote! | Copy!
Chiragh-e-Muhabbat
Ghazal
Halaat badalne lage hain unhe dekh kar
Khushi ab chhupaye chhupai na jati
Batein hain dilon ki, badi hi purani
Jo har ek mehfil mein sunai na jati
Hai kashish Jo Tum mein woh aur kahan
Teri yadein iss dil se bhulai na jati
Chiragh-e-muhabbat yun hi jalaye rakhna
Yeh woh roshni hai jo bujhai na jati
Parwah na kar zamane ki kar de izhhar ‘deep'
Yeh aag dil mein ab dabai na jati
Written by
Deepak kumar deep
29.11.2012
poem by Deepak Kumar deep

Submitted by Poetry Lover
Vote! | Copy!
Desh ki khatir
Bhadta hi ja raha hai Karwan
Aazadi ke Deewano ka
Kya khoob nazara hai
Shamma ke Parwano ka
Ched diya hai jung dusra
Bhrashtachar ki khatir
Nahi chodna hai unko
Ho chahe jitney bhi Shatir
Kin Shabdon me tariff karun
desh hamara bada kimti
Isko hame nahi hai khona
meri yahi hai tumse Vinti
Jaago zara neend se apne
Desh ko har haal me bachana hai
Hamari khatir lad rahe jo
Hame unka sath nibhana hai
Sone ki chidiyon wala desh
Aaj mahangai ke hanthon mar raha
Corruption bhi badha hai itna
Sab kuch hi khona pad raha
Lokpal bill ko lana hai
Bhrashtachar mitana hai
Sabhi ko rojgar dilakar
Berozgari ko hatana hai.
Gar Khatam huwa bhrashtachar
Khushiyan aayengi besumar
Jhel rahe jo mahangai ki maar
“Deep” sawarega ghar sansar.
Poet
Deepak Kumar 'deep'
16-09-2011
poem by Deepak Kumar deep

Submitted by Poetry Lover
Vote! | Copy!
Diwali Poem, Diwali ke is tyohar ko
Raam prabhu jab van se aaye
Ayodhyavasi khusi manaye
Saji Ayodhya dulhan jaisi
Sabne ghar me diye jalaye.
Tab se mana raha har koi
Diwali ke is tyohar ko
Jeet huwi hai sach ki hardam
Sandesh hai ye sansaar ko
Thaal saje hain deepon se
Hathon me phulon ki mala
Deep se deep jale chaun orr
Door andhera huwa uzzla.
Rang birange balbon se hi
Saja huwa hai har ek aangan
Main nahi kahta kahte sare
Parav hai kitna ye manbhawan.
Amber me bhi chamke tare
Rocket jo aakash me jate
Wo bhi khud ko rok na pate
Dekhne ko wo zami pea ate.
Kitni sunder hai ye dharti
Par pradhushan ne kiya prahar
Deewali me jalte patakhe lakhon
Jo karte watavaran ko bekar.
Pran Karen is diwali par
Nahi chuvenge koi bom
Hamari dharti bachi rahe
Tute na insano ka dum.
Khao khub, khilao khub
Har insan ko gale lagayen
‘deep’ Mubarak deta sabko
Milkar ye tyohar manayen.
poem by Deepak Kumar deep

Submitted by Poetry Lover
Vote! | Copy!
Kaise Banayen Riste
Gazal- Kaise banayen riste
Buland hain irade dushmani ke aaj
Kaise banaye rishte dosti ke aaj
Hinsa hawas me, hai bhukh daulat ki
Maksad ban gaye hain, Zindagi ke aaj
Kare- khair dekhe nahi aabgeenon me
Ye salika hai nahi bandage ke aaj
Shkal surat me Manavta nahi shyad
Paribhasha hai nahi aadmi ke aaj
Nafrat bhare dil me, jab “deep” jala nahi
Pyar ho saka na issi kami ke aaj
Writer
Deepak kumar deep
Editor, Singer, Writer
20-07-07
poem by Deepak Kumar deep

Submitted by Poetry Lover
Vote! | Copy!
Aise Hain Anna Hamare...
Khuskismat hain hum sare
mile hame jo Anna Hazare
Sath do milkar duniya walon
Pakar inke Har ek ishaare
Khuskismat hain hum sare
mile hame jo Anna Hazare
Diya hai maa ne ratna hame
Jo sabki aankhon ke hain tare
Desh ki khatir jee rahe jo
Aise hain Annaa hamare
Khuskismat hain hum sare
mile hame jo Anna Hazare
Hoga khatam ab bhrastachar
Anna ki ye har saans Pukare
Swarg sa sunder bane ye desh
khushiyon ke hon har or nazare
Khuskismat hain hum sare
mile hame jo Anna Hazare
Ishwar do sadbudhhi sabko
Karte gunah kyon itne sare
Rukhsat hoge duniya se “deep’’
Hoga na kuch sath tumhare
Khuskismat hain hum sare
mile hame jo Anna Hazare
poem by Deepak Kumar deep

Submitted by Poetry Lover
Vote! | Copy!
Gazal Haal-e-Dil By Deepak kumar deep
Gazal: - Haal-e-Dil
Haal-e-dil apna gairon se sunaya na karo
Dard hai gar dil mein, chhupaya na karo
hain sabhi gair yahan apna na koi yaar hai,
Bewajah rishte yahan banaya naa kao
Mumkin nahi hai rah me sabko sambhalna,
Gar uthha sakte nahi giraya naa karo
Aankhon me chubhti hai duniya ki khushi kyun,
Aise kisi jazbaat se sataya naa karo
Shukra hai khuda ka jo nawaza hai issi ne,
Heere rahmaton ke gawayan naa karo
Daman bhara hai isne(Khuda) mere mangne se pahle,
Deep ispe tohmat bewajah lagaya naa karo
Hard Word's-
Nawaza- Kabil, Layak(Bestow or Confer)
Rahmaton- Kripa(Grace)
Tohmat- Lanchhan(Blame)
Written By
Deepak Kumar 'deep'
Editor
New Delhi
10.10.2012
poem by Deepak Kumar deep

Submitted by Poetry Lover
Vote! | Copy!
Shikshak Hamesha Yahi Sikhate By Deepak Kumar Deep
jeevan ki aadharshila
hoti guru ke hathon me
unke vachno ko apnalo
Raaz hai unki baton me
mata, pita aur guru hi
sacche mitra hote hain
inka aadar jo na karte
wo jeevan baji khote hain
Galti par shikashak jab mare
bura kabhi na mano
wo chahe tum bano medhavi
bas achha banne ki thano
Shikshak hamesha yahi sikhate
Mehnat se har ek kaam karo
muskil kuch bhi nahi duniya me
Pad likh kar sabka naam karo
Chahe jis mukam par jao pahunch
Apne teacher ko na jana bhool
banegi Inse hi kismat ki rekha
Bas bankar rahna charno ki dhool
'deep' naman hai aise teacher ko
Bhagya hamara Jinhone sawara
unki badaulat hain aaj kuch hum
aur hum jee rahe jeevan nyara
poem by Deepak Kumar deep

Submitted by Poetry Lover
Vote! | Copy!
Akelapan
Mai akela toh nahi tha,
ab kaise ho gaya?
Maano sab kuch ek pal mai kho gaya,
Zindgi ki hakikat saamne aayi,
Sab bhram mit gaya,
Sacchai chaayi..
Kyun maan raha tha khud ko sabse sukhi?
Uss guroor k saamne ab nazrein jhuki,
Ab chain bass tab hi mil sakta hai,
Mit jaayein iss dil ki diary k panne sabhi..
Uss shor ki toh maano manzil hi dhah gayi,
ab toh bass akelapan accha lagta hai..
WO hansi, wo shor..ab hume kahan jachta hai?
Kash! kyun na hum pahle se hi akele hote
kyun ye bojh jhoothi yaadon ka dhote..
Na aaye ab yahan koi aur
mai dekhna chahta hu ab duniya ka chhor
iss dukh k liye
khuda maine kyun wo sab sukh saha? ? ?
Mai Akela toh nahin tha
ab kaise ho gaya? ? ?
poem by Smriti Sharma

Submitted by Poetry Lover
Vote! | Copy!
Tree Plantation Ped lagayen, Paryawaran bachayen
Vrikash paryawaran ki shan hain
Vrikashon ko na katen hum
Ped lagayen, paryawaran bachyen
Vrikash hamari jaan hain.
Vrikash lagana acchi baat hai
Par Vrikash ki rakasha bhi Karen
Apne swarth ki khatir
Ped kaatna galat baat hai.
Ped pradushan se hame bachte
Ped hi barish late hain
Ped hi sunder fal hain dete
Aur hamari sehat banate.
Ped hamari khatir jeete
Kitna bada hai unka upkar
Khud sahkar dhoop aur toofan
Dete hame thandi bayar(Hawa) .
Vrikash hamare bade kimti
Inhe yun hi na barbad Karen
“Deep” eke k ped lagakar
Ghar apna aabaad Karen.
poem by Deepak Kumar deep

Submitted by Poetry Lover
Vote! | Copy!
Tumahara Jana
Tumahara jana
Aachanak pushpo ki kaliyo se
Unke mahak ka ud jana.
Kal tak jo khila khila tha
Pal main
murjha kar mar jana.
Tumahara jana
Chand lamho main indradhanush ke
Rango ka ris kar bah jana.
Barso tak jo aabad sahar tha
Uuska chand minto mein
viran uujad ho jana
Tumahara jana
Aachanak chanchal hava ke
Rukh ka tufan mein badal jana.
Kal tak jo balwan khada tha
Uuska tut kar bikhar jana.
Tumhara jana
Saapno ki uudano se sakth dharatal par
Ghayal gir jana
Kisi sawachand muskan ka
Siskiyo mein bifar jana
Tumhara jaana.
poem by Anjali Kakati

Submitted by Poetry Lover
Vote! | Copy!
Kuch Dur Tak Hi Sahi
Kuch dur tak hi sahi
Hum sang to chale.
Kuch pal hi sahi
Tumhare labo pe
mera naam to raha
Aarso gujr rahe the
Bethe mahfil mein tanha
khud se poochte the
aapne ghar ka raasta
Tum mile to
Shayad darpan dekha
Pahli bar.
Aaparachit khud se
Parichay hua
Pahli bar.
Kuch dur tak hi sahi
Hum sang to chale.
Kuch pal hi sahi
Tumhare labo pe
mera naam to raha
Yo to har mausam
patjhad hi raha
jivan ka
Kuch der hi sahi
Thahari to bahar
Humare yahan.
Kuch dur tak hi sahi
Hum sang to chale.
Kuch pal hi sahi
Tumhare labo pe
mera naam to raha
Sadiya beet gayi
Aur sanse chalti rahi
Tum aaye toh
saso ke is door ko
jivan ka naam mila
pehli baar.
Kuch dur tak hi sahi
Hum sang to chale.
Kuch pal hi sahi
Tumhare labo pe
mera naam to raha
Yo to virano
Aur uujado
Ki aadat ho chali thi
Tum sang
Pal bhar hi sahi
ye sheher
aabad to hua.
Kuch dur tak hi sahi
Hum sang to chale.
Kuch pal hi sahi
Tumhare labo pe
mera naam to raha
poem by Anjali Kakati

Submitted by Poetry Lover
Vote! | Copy!