Maa

Maa to meri jaan hai.
dundle andhere me bhi vo, meri pehchan hai
Sehti rahi jo hr pal,
Marti rahi har pal jiske liye vo,
Kuch or nahi bs vo meri muskaan hai,
Har gaya har lamha jiske samne,
Jhuk gaya har dard jiske samne
Vo koi or nahi meri maa mera bhagwan hai.muskurati rahi har dard me vo tumhe hsane k liye,
khud jalti hai vo har pal, sirf tumhe roshni dikhane k liye, rehti hai andhero me tumhe chand dikhane k liye,
Aaj bhi intzaar krti hai vo tumhe chamkta dekhne k liye,
Tadapti hai vo bs ek bar tumhe seene se lagane k liye.
Dedo use itni khushi ki gham bhi na use chu paye is zamane me...
Bna do uske har aasun ko moti,
Chamka to uski zindagi kuch is kadar,
Ki heera bhi feeka parh jaye is zamane me,
Bs ye hi jaan lo, maa hi sabkuch hai,
Har zamane me...

poem by Neha PoemloverReport problemRelated quotes
Submitted by Poetry Lover
Vote! | Copy!

Share

Related quotes

Hindi Poem- Chehra

Sari Raat Yuhi Bita Di Maine,
Kitabo Ke Panne Palat Te Hue,
Kuch Khwab Bunte Hue,
Palko Tale Kuch Aansu Samete Hue,

Sari Raat Yuhi Bita Di Maine,
In Nain Naksho Ko Niharte Hue,
Apni Kamiyo Ko Dhundhte Hue,
Apni Majburi Par Rote Hue,

Soch Rahi Thi Main,
Kya Kiya Tha Maine,
Kyu Kiya Tha Maine,
Kya Achi Nahi Thi Sirf Vo Jaan Pehchaan,
Ki Dena Chaha Use Mohabbat Ka Naam Maine,

Soch Rahi Thi Main,
Kya Keh Gaya Vo Itni Asani Se,
Kyu Keh Gaya Vo Itni Asani Se,
Kara Gaya Mujhe Meri Badsurti,
Meri Kamiyo Ka Ehsas,
Aur Thukra Gaya Mujhe Itni Asani Se,

Kya Dil Nahi Tha Uske Paas,
Ya Un Shabdo Ki Mithaas Kahi Kho Gayi Thi,
Aakhir Kiya Kya Maine,
Jo Mere Ehsaso Ki Zamane Bhar Me Khilli Udayi Gayi Thi,
Bas Pyar Hi To Kiya Tha,
Use Apna Dil Hi To Diya Tha,
Phir Bhi Kyu Sabke Samne Ek Mazaak Ban Kar Reh Gayi Thi,

Par Galti To Thi Hi Meri,
Ki Uski Neeli Aankho Me Dubti Chali Gayi Thi,
Uski Har Hasi Me Ek Sapna Bunti Chali Gayi Thi,

Dosh Uska Nahi Mera Hain,
Sirf Main Aur Mera Yeh Badsurat Chehra Hain,
Phir Bhi Kyun Aaj Khud Ko Bikhra Sa Mehsus Karti Hu,
Shayad Is Chehre Ke Karan Kisi Ko Ab Apna Dil Dene Se Darti Hu,
Kyunki Bahut Gehra Hota Hain Is Dard Ka Ehsas,
Par Ab Karti Hu Yahi Ardas,
Ki Ae Khuda!

Is Chehre Ko Vo Noor De,
Ki Dekhne Vala Aur Kuch Soch Hi Na Paye,
Par Is Dil Ko Dildar De,
Jiske Pyar Ke Liye Yeh Umar Bhi Kam Pad Jaye,
Aur Jisne Mujhe Thukraya,
Use Khud Koi 'Na' Keh Jaye,
Aur Tab Shayad Use Apni Galti...
Aur Mere Is Dard Ke Ehsas Ho Jaye.......

poem by Apurva JainReport problemRelated quotes
Submitted by Poetry Lover
Vote! | Copy!

Share

Hindi Poem- Mera Sapna

Ek Sapne Ke Piche Bhaag Rahi Hu Main,
Na Jane Yeh Sach Hoga Bhi Ya Nahi,
Phir Bhi Umeed Ka Man Me Deep Jalaye,
Chali Ja Rahi Hu Main,
Ek Sapne Ke Piche.......................


Mera Yeh Sapna Sirf Sapna Nahi,
Meri Khwaish Hai Yeh, Hai Yeh Meri Tamanna,
Ya To Banega Mere Jivan Ka Sach,
Ya Rahegi Sirf Ek Kalpana,
Is Sapne Ko Na Jane Kitne Dino Se,
In Ankho Me Paal Rahi Hu Main,
Ek Sapne Ke Piche............................

Andheri Rat Dekhi Hain Maine,
To Ujale Savere Ko Bhi Dekha Hain,
Jalte Diye Se Faili Roshni Dekhi Hain,
To Uske Tale Chipe Andhere Ko Bhi Dekha Hain,
Usi Roshni Ki Ek Kiran Ke Liye,
Andhero Mein Bhi Jaag Rahi Hu Main,
Ek Sapne Ke Piche........................

Sapna Kya Hain,
Jo Chahu Use Pal Mein Hi Pa Lena,
Sari Duniya Ko In Hatheliyo Mein Bhar Lena,
Yakeen Hain Mujhe,
Apni Lagan Se Ise Zarur Sach Kar Dikhaungi,
Par Dar Hai,
Ki Is Matlabi Duniya Mein Na Kho Jau Kahin,
In Logo Ka Shikar Na Ho Jau Kahin,
In Jaisi Hi Na Ban Jau Kahin..................
In Jaisi Hi Na Ban Jau Kahin..................

poem by Apurva JainReport problemRelated quotes
Submitted by Poetry Lover
Vote! | Copy!

Share

Bhage Jaa Rahe Hai

Bhage ja rahe hai,
Na jane dur kis se.
Sochte hai,
janmoo ka ho
Tum me
Hum me
Phasla.
Na tum meri
Har saans mei
Dard banker basoo,
Na hum tumhari
Nazaroo mei khatke
Beaabroo dastan banker.
Yo meelo meel
Bhagte rahe
Aur
Har baar,
Har raah
Le jaati rahi
Tum tak.
Hum phaslee badhate rahe
Aur
Har phasla kareeb lata gaya
Tum tak.
Nahi jante hai,
Kyun har raah
Tum par youn
ruke?
Kyun har phasla
Tumhe aur kareeb laye?
Nahi jante hai,
Kya baandhe rakhta hai
Meri saanso ko
Tumhare dard ke saath.
Par hum phir bhi
Bhagee ja rahe hai
Na jaane duur kis se.-anjali

poem by Anjali KakatiReport problemRelated quotes
Submitted by Poetry Lover
Vote! | Copy!

Share

Main Jo Tha Mom Ka Putla

main jo tha
vo mom ka putla
har kisi ko pasand aata tha

ye mom ka putla

na kuch kehta tha
na kuch samajta tha
ye mom ka putla

phir ek din mujme jaan daal di gayi
insaano ki duniya mein meri naam daal diya gaya
kuch pasand karne lage
kuch hue jealous
kuch pyar karte
kuch takrar karte

main jo tha ek mom ka putla
kisi ne mujme jaan daal di

ab hone lagi dheere dheere nafrat mujhse
kisi ne mujhme khot nikal di
har cheez bikti thi us duniya mein
par mera koi mol na paya

main jo tha ek mom ka putla
kisi ne mujhme jaan daal di

sauda hua jo beedh ke bazaar mein
kahin bik na paya main
mera mol kaha tha
us aamir ki dukan pe
jo kudh hi lut chuka ho
vo kya chukata mol mera

padha raha aasman mein
mom ka putla ban kar
phir ek din meri jo jarurat na thi
bej diya mujhe khadan mein
aag jo meri meet thi
mil gayi khushi is jahan ko

main jo tha mom ka putla
kaam na aaya is jahan ke
main jo tha mom ka putla............................................ .......

poem by Imnt AliveReport problemRelated quotes
Submitted by Poetry Lover
Vote! | Copy!

Share

Ghazal! (Urdu)

(prize-winner in poetry competition
HIKC Lhr 2007)

Sitam ka baar uthaanay me kuchh kami na rahi
Bujhi he pyas kuchh esi k tashnagi na rahi

Nigah e naz ki jumbish pe jal uthhay taaray
'Phir us k baad charaghon me roshni na rahi'

Ajeeb silsila e ishq ki yeh manzil he
Mila Khuda to tamanna e bandagi na rahi

kuchh ese pal thay k mehfil ki jan thay hm bhi
Or ab yeh haal k khud se bhi dosti na rahi

Kahan kahan pe hukoomat he uss ki yadon ki
Wo kia gaya k gulon pe bhi taazgi na rahi

Guzar sakay to nhi jaan se pr tumharay baad
Rahi zaroor, , , mgr wesi zindagi naa rahi! ! !

poem by Shahzia BatoolReport problemRelated quotes
Submitted by Poetry Lover
Vote! | Copy!

Share

Merey Dua (A poem written in URDU)

Merey Dua
Zindagi kitney bari aik naimat hai kudha
Kameyabi ki bulandi cho-ey har urnay wali ghata
Saba-e-noor sey roshan hai teray wojood ka nizam
Har guncha aur dali jukay aur karay tujhay salaam
Fariyad tujh sey karti hoon kabi suun ley meri sada
Karam kar meray Aaqa aur suun ley meri dua
Shah-en-shahiat tujh pey khatam iss jehan ka raab hai tu
Bhar dey meri jholee aur kar puri meri dua.

poem by Meena MustafaReport problemRelated quotes
Submitted by Poetry Lover
Vote! | Copy!

Share

Parichay

Poochu kisse parichay aapna
Mei khud se aanjaan
Barso se parkha hai khud ko
Baanker ke vidwan.
Har baras
dar baras
Badle hai pehchan mere
Herat mei hai jaan.

Har pal badalta
Ek ek pal mei machalta
Kabhi dhalta, kabhi nikharta
Paraspar badalta
Mera aastitwa
meri pehchan

kabhi dhoondha hai
kisi ki aakho ke pratibimb mei
to
kabhi paya hai
kisi ki ajnabi se muskan mei.

Mei ek
aur mujhme
na jane
kitne anek.
Ek ko jaanu to
Dooja ho jaye
Pal hi mei mehman.

Sthirta ki moorat mei
Kan kan aasthirta se bhara
Meri shinakt.
Poochu kisse parichay aapna
Mei khud se aanjaan
-anjali

poem by Anjali KakatiReport problemRelated quotes
Submitted by Poetry Lover
Vote! | Copy!

Share

Tum Kabhi Samajh Paate

Tum kabhi samajh paate
Tum mere liye kya ho
Kabhi mujh me bas ke
Meri nazaro se dekho.
Tum khawab ho,
Tumhi hakikat.
Tum ghana aandhera
Tumhi meri satrangi rangat.
Kabhi oodha hai
Tumhe
Banake jeevan.
Kabhi uttara hai
Samajh ke kafan.
Tumhi pyaas janmo ka
Jise labo ko hai intezar.
Tumhi ho sagar jisme
Doob kar maroo bar bar.
Tum ko kaise batau
Kya ho tum mere,
Kabhi prashan ho,
Kabhi jawab mere.
Kabhi mujh me bas ke
Meri nazaro se dekho.-anjali

poem by Anjali KakatiReport problemRelated quotes
Submitted by Poetry Lover
Vote! | Copy!

Share

Kuchh Bhi to Nahein Hai Naam Mein Mere. [A poem in Hindi]

Kuchh bhi to nahien hai naam mein mere
Na koi arth hai na mahatav hi
Samay ke raigistan mein jaisey
Tum ne ik naam likha tha
Jo mit sa gaya hai
Waqt ki aandhi se.
Ab jab teri nai duniya mein
Naiye saathi sang hain tere
Kya rakha hai beeti yaadon mein
Bharte rahein aanso in aankhon mein
Rait par likha hua ik shabd tha mein
Jo mit sa gaya hoon.
Lekin jab bhi naiye sab saathi
Sang chhod tujhe peddit kar dein
Naam tum lena mera priye tab
Aur moorat kar ke yaad tum meri
Kehna thha ik sachha shaksh bhi
Jiske pyaar ne jeevan mein thhey
Aashaon ke phool bikhere
Jise waqt nigal gaya hai
Aur jo yaadon ke aakash mein
Ik tara ban kar chamak raha hai
Chhahey uska koi naam nahien hai........[1992]

poem by Om ChawlaReport problemRelated quotes
Submitted by Poetry Lover
Vote! | Copy!

Share

Tum Kyun Nahi Aaye Pehle Kabhi?

Tum kyun aaye abhi?
Duniya bhar ki roshni liye?
Hume andhere ki aadat
Ho chalee thee.
Kabhi youn khud ko dekha nahi,
Andhere me sheesha nazar aaya hi nahi.

Tum kyun aaye abhi?
Itni sari khusiyan liye
Hume gamo se mohabbat
Ho gayee thee.
Dekho..
daman me sambhali jaati nahi!
Kabhi issko batorte hai,
Toh kabhi uss ko kho dete hai!

Tum kyun aaye abhi?
Umar bhar ki guftagoo liye?
Bheed me tanha phirte the,
Kabhi bewazah haste,
Kabhi bewazah rote the,
Par aah tak nahi karte the.
Abb samajh aata nahi..
Tumse shikayat kare..
Ya kare gila
Tum kyun nahi aaye pehle kabhi?

poem by Anjali KakatiReport problemRelated quotes
Submitted by Poetry Lover
Vote! | Copy!

Share

Amma k naam...! ! ! (Urdu)

Janay kiskis tarha mushkil se sambhala mujh ko!
Meri maa tu ne boht pyar se paala mujh ko......!

Apne kirdar se, guftaar se taaleem kia
Neik seerat bharay afkaar se taaleem kia
kia sahi, kia he ghalat, nok palak batlai
Ye namaz or dua tu ne hamay sikhlai

Tu ne kundan ki tarha se he ujaala mujh ko!
Meri maa tu ne boht pyar se paala mujh ko!

Tarbiat din ki aulad ko aamaal se di
Roshni tu ne sahi raah ki afa'al se di
Zer e taameer sahi, me teri taameer to hun
Aaj me jo hun teri zaat ki tasveer to hun

Tu ne suraj ki tarha shab se nikala mujh ko!
Meri maa tu ne boht pyar se paala mujh ko!

Kese pehchaanay teri zeest ka unwaan koi
Bistar e marg tha ya jang ka maidaan koi
Itni takleef sahi dil se magar sabr kia
lub se shikva na dia, sham o sahar shukr kia

Kon mushkil me bhala de ga sambhaala mujh ko!
Meri maa tu ne boht pyar se paala mujh ko!

Akhri baar kalejay se mujhe liptana
Kese bhoolay ga kalaavon ka hamay pehnana
Mere naa cheez se haathon ko lagaya lub se
Dil Batool ab bhi yehi bol raha he tub se

Meri maa tu ne boht pyar se paala mujh ko!
Meri maa tu ne boht pyar se paala mujh ko!

poem by Shahzia BatoolReport problemRelated quotes
Submitted by Poetry Lover
Vote! | Copy!

Share

Love or Life

Khuda mai to nahi.
Pyar bhi tumhi ne kiya
Bewafai maine to nahi.
Jhute tum the
Dhokewaz mai to mahi.
Fir aaj shikayat mujhse kyu?
Thoda to tumne tha.
Khush to mai b ni.
Zindagi to tumhari hai.
Or meri zindagi ek puri kahani b ni...
Aaj ye maafi kyu
Maaf to tumhe mai kr bhi deti, magar isbar bkshega tumhe khuda nhi nahi...

poem by Neha PoemloverReport problemRelated quotes
Submitted by Poetry Lover
Vote! | Copy!

Share

Na jaoo itne dur humse

Kyon ja rahe ho
Itne dur humse?

Na jaaoo itne dur,
Itne dur,
Ke hum aawaj de,
Jo deewaro me goonj
Hum tak hi lout aaye,
aur
tum tak meri aah to kya
rooh ki phariyaad bhi na pahuch paaye.

Na jaaoo itne dur,
Itne dur,
Ke hum dastak de de ke thak jaaye
Aur
Koie darwaza, koie raah
Hume to kya humare janaje tak ko
tum tak na le ja paaye.

Na jaaoo itne dur,
Itne dur,
Ke hum youn hi raat ke aashko ko
Subah ki dhoop me sukhate phiree,
Aur
Palko tale tamam umr dard ko
khamooshi se sambhale rahe.

Kis khata ki saza de rahe ho hume?
Ke nabz bajti rahe,
Sans chalti rahe,
Aur,
Usee hum jindagi ka namm
Bhi na de paaye.

Kyun ja rahe ho itne dur humse,
Na jaaoo!
Lout aaoo!
Aakhir…
Tumhare rooh ka kuch
Humse bhi to hai wasta,
Khushi ka na sahi
Dard ka tumhare humse hai
Kuch poorana sa rishta.
Joodti hai
Jo tumhari tanhaee se
Meri tanhaee ko,
Deekho na,
Kitni dur se chala aa raha hai
Ye rasta.
Itna sab kuch,
Phir bhi
Naa jaane kyun jaa rahe ho
itne door humse.

poem by Anjali KakatiReport problemRelated quotes
Submitted by Poetry Lover
Vote! | Copy!

Share

Kya The Tum

Sach mein
Sacchayi the?
Ya koi sawapan the
Khuli aankho ke?

Tum the
Ya
hava ka jhooka tha,
Bin dastak diye hi
Jo Ghoos aaya tha
Mere darwaje se.

Tum the
Ya
koi aanjan se dhadkan thi
Mere hi dil ki
Aanjane hi dhadak gaya jo
Pal bhar ke liye?

Kon the?
Meri hi chaya ke
pratibimb?
iitne parichit
Ya
mere hi mann ki koi
apratisthit uudan

Kon the?
Sach mein
Sacchayi the?
Ya koi sawapan the
Khuli aankho ke?

poem by Anjali KakatiReport problemRelated quotes
Submitted by Poetry Lover
Vote! | Copy!

Share

Kash Kabhi Aisa Hota

Kash kabhi aisa hota
Teri justuju me meri khusi na hoti
Tum bolti aur mujhe sunne ki kwahish na hoti
Tum khamosh hoti aur mujhme bebasi na hoti
Kash kabhi aisa hota…………..
Tum naaraz hoti aur mujhme manane ki bekarari na hoti
Tum paas hoti aur mujhe kahin jane ki kwahish ho jati……….
Tum dur jati aur mujhe paas na aane ka istaqlal ho jata..
Kash kabhi aisa hota…..
Teri khushi me meri jindagi na hoti
To tum bhi azad ho jati………….
Meri har betuki bato se
Alhar swalo se.., namuraad jwabo se…..
kash kabhi aisa hota

poem by Ainan AhmadReport problemRelated quotes
Submitted by Poetry Lover
Vote! | Copy!

Share

Awareness poem in Hindi by Deepak kumar deep

Sadiyon se khamosh ye dharti
Pata dhoondh rahi hai insanon ka
Kash! Kahin koi mil jaye
Kya shahar hai ye veerano ka?

Dhadhak rahen hai dil par hoth hain band
Iltaza hai kuch kahne ki
Par! sari nakam koshish
Mai chala gaya tha mudon ke shahar me
The naam wahan gude huwe sunhare patthron par

Wo bebas the, chilla rahe the,
Ro rahe the apni lachari par
Zuban na thepaas unke, kuch kahne ko
Kyonki wo bebas the lachar the……
Jane laga jab wahan se main
Pukar rahi thi wo sari lashen mughe
Chilla chilla kar kar kah rahi thi-
Mat banna aise, jaise the mere karm
Yaad kar un baton ko, aati mughe abs harm
Banna tha jab narm mughe, huwa main narm
Andhvishwashon me ghira tha mera apna dharm….

Jao jakar bata do unko
Meri tarah hi unka hoga haal
Maine ta umernahi ki bhakti, sirf kiya dikhawa
Jo bana aaj ka sawal
Maine apna waqut gawaya, duniyawi such ko pane me
Shareer ko sajane me,
Imarte banana me,
Danga fasad karne karane me
Par zara bhi na diya dhyan
Manav jeevan sawarne me.

Murakhta aur pagalpan ki bhi had hoti hai
Maine samay ke satguru ko nahi pahchana
Sirf libas dekha, shaklon par dhokha khakar
Har yug me maine mara taana.

Main bhi kitna badnaseeb tha
Manjeel mere karib tha
Phir bhi daud raha tha paglon ki tarah
Wo waqut bhi kaisa ajeeb tha.
Khair! Min to apne kiye ki bhugat raha hoon
Par jao jakar kahna un ghamandi, ahankari, papai,
durachari, anachari, Vyabhichari, atyachari logon se

Kyon kar raha hai apne aap se gaddaari.
Kar le apne aapki pahchan
Kaun hai tu? Kya hai tera asthan?
Mat kar mat kar itna abhiman
Jana padega ek din shamshan
Jag me rahegi ek dastaan
Aur bhul jayenge tughe naadan
Mubarik hai tera achha khan paan
Neend se apne jag re Insaan
Main bhi teri hi tarah hi nadani kar baitha
Par tun na kar!
Ja satguru ki sharan
Kar de apne aapko arpan
Fir dekh! Tu yahan nahi aayega
Aur na hi churashi me jayega
Tun to seedha rab me mil jayega
Tera jeevan saphal ho jayega
Jakar mil le NIRANKARI BABA JI SE
Jo mufat me baat rahen hain gyan
Iss gyan ko pakar
Sewa simran satsang karke
Bhakti Ki dritha pa le
Phir dekh! Tu bhi Ram, Krishna, Gurunanak
Kabir, Tulsi, Hanuman ki tarah amar ho jayega

Jakar dekh satguru “deep” jala raha hai
Andhera mita raha hai
Savera la raha hai
Tub hi jag ja, jag ja

poem by Deepak Kumar deepReport problemRelated quotes
Submitted by Poetry Lover
Vote! | Copy!

Share

Hindi Poem- Ankahi

Aaj kagaz pe syahi failane ka man to bahut hain,
Par kuch nahi hain khas,
Kash aaj main kuch likh pati,
Kash kuch keh pati,
Par pata nahi kyun,
Aaj shabd nahi hain mere pas,
Kin khayaalo ke bare me sochu main,
Jab kuch lamhe hi nahi saheje apne pas,
Kuch dhundhli yaadein bhi nahi mere sath,
Kya bayaan karu aaj jazbaat apne,
Kuch jazbaat hi nahi mere pas,
Jazbaat chodo,
Lagta hai aaj kehne ko to apni saasein bhi nahi mere pas,
Log kehte hai... jazbaat aur saasein to dil me basti hain,
Lagta hain... Aaj shayad dil hi nahi mere pas....

poem by Apurva JainReport problemRelated quotes
Submitted by Poetry Lover
Vote! | Copy!

Share

Khilauna Pyara Pyara

Maa mughko chahiye,
aasmaan ka ek taara..
ghat se lakar de do mughko,
khilauna pyara pyara..


Maa boli bete se apne,
kaise laungi mai usko..
yahan nahi wo door bahut hai,
khilauna kahta hai tu jisko..


Bachha rone laga chillane,
meri mang poori ho............
ek dana nahi khaunga,
chahe halwa poori ho..........


Ab to maa hairan ho gayi,
ghat thali me paani laya.....
khilauna apne paas dekh,
bachha khub muskuraya...


Mil gaya bete ko mere,
khilauna usne jo mangwaya....
''deep'' sunakar lori maa ne,
bete ko bhar neend sulaya......

poem by Deepak Kumar deepReport problemRelated quotes
Submitted by Poetry Lover
Vote! | Copy!

Share

Na Tum Jano Na Hum

Beparavah hey ab TUM humse kuch is tarhaa..
Na TUM jano Na HUM...

ye fasalaa hey kuch dooriye ka par anE KA koi nhi or RASTA..
Ruthe hey aaj tum humse, kese manaye aaj HUM TUM KO...
Na TUM jano Na HUM...

Bepanha the mohhobat tumse..
Begarzz bana diya ek pal me hum E...
ab chen nahi na koi sahara bus ab tuhe mera KINara...

Beparavah hey ab TUM humse kuch is tarhaa..
Na TUM jano Na HUM...

bethye hey ab intzar karke ab mout ka..
NA AYE TUM AGAR TO KOI GUM NAHI, SAHI YA GAALAT AB KUCH NAHI..
JANE NAHI KOI PAAS NAHI TU MERE KARIB NAHI....INZAR HEY TERA AKHARI BAAR
Na TUM jano Na HUM...

Beparavah hey ab TUM humse kuch is tarhaa..
Na TUM jano Na HUM..

poem by Sandeep JahaalReport problemRelated quotes
Submitted by Poetry Lover
Vote! | Copy!

Share

Kuch Kehna Hey Tumse

KUCH KEHNA HEY TUMSE


kuch kehna hey tumse..
uhi Batalaya Nahi karte..
Dhere-Dhere uhi chup-chup ke..
kuch kehna hey tumse..

Band khidki se Dekhey tuje ab kese..
BEEN Mousam Barsat Barse to bhi kese...
kuch kehna hey tumse..
uhi Batalaya Nahi karte..

jo Dekha ek khawab kehkash Nighone..
DiL-DiL u milane se pehle...
kuch kehna hey tumse..
uhi Batalaya Nahi karte..

Diya or Bati ki tarha hona hey jo roshan...
musukrhat ke badal saja ne hey sada...
uhi kese samjaye been bole kese ab reh paye..
kuch kehna hey tumse..
uhi Batalaya Nahi karte..

Dor-Dor beth ke u ku sarmana..
Naav ko kabhi to hey kinare hey lana....
kyu tanha ab hey rehna paas ake u kuch kehna...
kuch kehna hey tumse..
uhi Batalaya Nahi karte..

kuch kehna hey tumse..
uhi Batalaya Nahi karte..

-SANDEEP JAHAAL

poem by Sandeep JahaalReport problemRelated quotes
Submitted by Poetry Lover
Vote! | Copy!

Share